Aap Ki Yaad Aatee RaheeAap ki yaad aatee raheAap kee yaad, aatee rahee raatbharChashma-ye-nam muskuraatee rahee raatbharRaatabhar dard kee, shamaa jaltee raheeGam kee lau, thartharatee rahee raatbharBansuri kee sureeli suhanee sadaaYaad ban ban ke, aatee rahee raatbharYaad ke chaand, dil mein utarate raheChaandni jagmagaatee rahee raatbharKoi diwaana galiyon mein firtaa rahaaKoi aawaz, aatee rahee raatbhar
Dil Mein Mehak Rahe Hain Kisi Aarzoo Ke PhoolDil mein mehak rahe hain kisi aarzoo ke phoolPalkon pe khilnewale hain shayad lahoo ke phoolAb tak hai koi baat mujhe yaad harf-harfAb tak main chun raha hoon kisi guftagoo ke phoolKaliyan chatak rahi thi ki aawaz thi koiAb tak sma-ato mein hai ik khushguloo ke phoolMere lahoo ka rang hai har noke-khar parSehra mein har taraf hai meri justaju ke phoolDeewane kal jo log the phoolon ke ishq meinAb unke daaman mein bharein hain rafoo ke phool
Teri dosti mein diwane ho gayeTeri dosti mein diwane ho gayeTujhe apna banate-banate khud se begane ho gayePukar le pyar se ek baar mere dostMurgae ki aawaz sun ke zamane ho gaye